Google
 

Saturday, October 11, 2008

Mujhe Azmane Wale - Dard Bhari Ghazal - Sad Poem

Mujhe Azmane Wale - Dard Bhari Ghazal - Sad Poem


Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye

Saturday, August 16, 2008

Ankhon Se Door Hone Ka Dard Bhare Sher

Ankhon se door hone ka koi gila nahi
Dil ke bouhat qarib ho kuch fasila nahi

Yaad rakho to dil ke paas hoon main
bhool jao to fasile hain bouhat

Mita do naam tak mera kitabe zindagi se tum
Magar pal pal roolayegi stayegi kami meri

Friday, August 15, 2008

Tu Shabo Roz Ka Hsil Hai - Dard Bhare Sher

Na jane kiyon tumhare naam se itni muhabbat hai
Kisi ka naam leti hoon to tumhara naam aata hai

Jab khayalon me nideyen palak hoti hai
Dil me paida teri yaadon ki mahak hoti hai


Tu shabo roz ka hasil hai mera saath na chod
Tu hi ham raaz ke qabil hai mera sath na chod

Monday, August 11, 2008

Agar maloom hota Dard Bhare Sher

Agar maloom hota muhabbat ka anjam pahle se


Na dil diya hota na jaan diya hota


Kuch tuhi mere dard ka mafhoom samajh le


Hasta hua chehra zamane ke liye hai



Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte


Tum ye na samajh lena ki ham peyar nahi karte


Sunday, August 10, 2008

Dil me basai thi tasvir mita dena Dard bhari ghazal

Dil me basai thi tasvir mita dena

Aankhon me basaya tha nazron me gira dena

Tum ko to wafa meri kuch raas na aai

Jati hoon tere dar se mujhko na sada dena

Jab tum se koi pooche baaten meri wafaon ki

Tum meri wafaon par ilzam laga dena

Fir oski tamanna keya jo gair ka ho jaye

Bas itni guzarish hai tum mujhko bhula dena

Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte - RomanticShe

Mana ki muhabbat ka izhar nahi karte
Tum ye na samajh lena ki ham peyar nahi karte

Door bhaga na karo shoq gazalon ki tarah
Ham ne chaha hai tumhe chahne walon ki tarah

Shama ummid ki is dil me jlayen kaise
Apni muhbbat ka eqin dilayen kaise

Saturday, August 9, 2008

Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha

Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha
Jhooti ulfat ka yaqin dilaya kiyon tha
Apni chahat ka yaqin dilaya kiyon tha
hooti manzil ka neshan banaya kiyon tha

Yaar ulfat ki duniya me - Dard Bhare Sher

Yaar ulfat ki duniya me andhera hi andhera hai
Jinhe ham bawafa samjhe the woh bewafa nikle

Khushi ke sath hazaron gam bhi hote hain
Jahan bajati hai shahnai wahan matam bhi hote hain

Maiasir rang o gam hoon mera qalab hai parishan
Mera zahri tabssum mera tarjuma nahi

Ham bawafa the is liye nazron se gir gaye
Shayad tumhe talash kisi be wafa ki hai

Tuesday, August 5, 2008

Romantic Sher - Bana liya hai tujhe

Bana liya hai tujhe ham ne apni zindagi

Ab is se badh kar tera aitbar keya ho ga



Mili hai aah keya taqdir bhi ham ko muqaddar se

Ki jisko umar bhar chaha usi ko umar bhar tarse



Teri yaad jab bhi aayi mere dil ne ye dua di

Tu jahan bhi rahe sadan teri har khushi salamat rahe



Afsana tere peyar ka har dam likha karon

Dil chahta hai baten tum se kiya karon


Dard Bhare Sher - Rona chaha to sitaron ne taslli di

Rona chaha to sitaron ne taslli di

Sona chaha to teri yaad ne sone na diya

Dil me dhdkan ki tarah aankh me aanson ki tarah

Sona chaha to teri yaad ne sone na diya

Tum mere paas raho phoolon me khushboo ki tarah

Sunday, June 29, 2008

Kabhi Ruswa Na Karenge - Dard Bahri Gazal, Poem, Poetry



Kabhi ruswa na karenge - Dard Bahri Gazal, Poem, Poetry



Chahenge tumhe par kabhi ruswa na karenge
Sayon se bhi tere kabhi shikwa na karenge
Bhoole se kabhi raah me mil jaungi tujhko
Milne ko dubara kabhi wada na karenge
Poochenge hawaon se ghataon se tera haal
Milne ke waste kabhi aaya na karenge
Jis peyar ki tabir kiya karte the pahle
Us naam ko diwar par likha na karenge

Friday, June 6, 2008

EHSAS-E-MUHABBAT - Romantic Ghazal

Apne ehsas se choo kar mujhe sandal kardo


Mai to sadiyon se adhoori hoon mukammal kardo


Na tumhe hosh rahe na mujhe hosh rahe


Is tarah toot kar chaho ki mujhe pagal kardo


Dhoop hi dhoop hoon is tarah toot ke barso mujh par


Mai to sehra hoon mujhe peyar ka badal kar do


Tuesday, June 3, 2008

Aaj badi tanhai hai - Sad Romantic Ghazal

Aaj bouhat hai pani barsa aaj badi tanhai hai


Aise me kiyoin aye jaane tamnna yaad tumhari ayi hai



Kaise dil ke dard sahe kaise ashk aankhon se kahen



Abhi to dil ke zakham naye hain ispar ye purwayi hai



Tees hai dil me dard jigar me aankhen nam our tanhai hai



Is liye bina kuch likhe hi kora kagaz bheja hai



Khat ko agar koi padhlega is me ham dono ki ruswai hai

Sunday, April 27, 2008

Shikwe Hain Zuban Pe - Dard Bhare Sher


Shikwe hain zuban pe taqdir ke mare hain
Daman bhi hamare hain aansoo bhi hamare hain


Kisi ke ek aansoo per hazaron dil tadapte hain
Kisi ka umar bhar rona yonhi bekar jata hain

Thursday, April 17, 2008

Rukta nahi yeh Dil - Romantic Gazal


Kisi ke Roke kabhi, Rukta nahi yeh Dil
Kabhi Dariya to kabhi Hawa, lagta yeh Dil

Aapke supurd ho gayi, zindagi ki khilkhilahat
Aapki aahton per ab, machlta hai yeh Dil

Kuchch na soche, na samjhe kuchch bhi
Pani ki dhaar sa allahd sa, chalta yeh Dil

Kabhi asaani se na ho saki, hasil Mohabbat
Soch yeh baat machal, aag sa badhtaa yeh Dil

Yakayak yun hi kabhi koi, kahin jata hai mil
Na jane hota hai kya ki, mil khil jate do Dil

Aap bhi soch me meri, shamil hain hardam
Aap ko soch kar likhta hai, hamesha yeh Dil

Monday, February 25, 2008

Khamoshi Bol Uthe - Romantic Urdu Gazal


Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye
Ye sannata agar had se badhe to kohraam ho jaye

Sitare mashalen le kar mujhe bhi dhoondne niklain
Mein rasta bhool jaoon to junglon mein shaam ho jaye

Men wo adam-e-guzeda' n hoon jo tanhai k sehra men
Khud apni chaap sun kar larza bar-andaam ho jaye

Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh mandon ki
Na ho daaman mein zar'ra aur sehra naam ho jaye

Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat kaafi hai
Hum is se bach ke chalte hen jo rasta aam ho jaye

Friday, February 22, 2008

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey - Sad Urdu Gazal


Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey
Pathar Ho Muqabil To Thehar Kyun Nahin Jatey

Is Shehar Ke Jugnoon Bhi Chalavay Hain Nazar Ke
Phir Log Sar-E-Shaam Hi Ghar Kyun Nahin Jatey

Tum Nay To Giraya Hai Mujhay Apni Nazar Say
Tum Meri Nighaon Say Utar Kyun Nahin Jatey

Mar Mar Ke Jiye Jatey Hain Sadkon Ke Kinarey
Marna Hi Zaroori Hai To Mar Kyun Nahin Jatey

Mohsin Ko Hi Maatoob Kia Jata Hai Aksar
Ilzaam Kabhi Us Ke Bhi Sar Kyun Nahin Jata

Tuesday, February 19, 2008

Pal Main Doori Ho Jaati Hai - Dard Bhari Shayari

Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai
Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai
Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai
Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai
Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khaahish Puri Ho Jaati Hai
Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai

Monday, February 11, 2008

Shabnami Aag Mein Na,Jalao Mujhako - Romantic Poem


Shabnami aag mein na, jalao mujhako
Preet ke raag aub to, sunao mujhako;
Imtihan mein kitane, aur waqt gujarenge
Apani yadon se na, aur rijhao mujhako.

Khoobsurat sa lagata hai, charon taraf
Tamannaon se lipat, mahakao mujhako;
Aapaki kashish mein, saans hai bahaki
Rajaamandi dekar, bachao mujhako.

Surkh lub per, mere naam ko basa ker
Narmiyon ki lajjat se, nahalao mujhako;
Sandeshe net se dekar, mujhe abaad karo
Apani ankhon ki namin, de jao mujhako.

Mard bhi kaya hai, khud hi dard hai ek
Nari ki najakat se, shakti de jao mujhako;
Prakriti ki sari khubiyan, hain tum mein
Pyar karati ho muhje bole, jilao mujhako.

Wednesday, January 23, 2008

Abb kahan dost mile saath nibhaaney vaaley

Abb kahan dost milein saath nibhaaney vaaley,

Sab nay seekhay hain abb adaab zamaaney vaaley,

Dil jalao ya diye aankhon kay darvaazey par,

Waqt say pehlay tou aatey nhi aaney vaaley,

Ashq bann kay main nigaahon mein teri aaoongaa,

Ai mujhay apni nigaahon say giraaney vaaley,

Waqt badla tou uthaatey hain abb ungli mujh par,

Kall talaq haq mein merey haath utthaaney vaaley,

Waqt har zakham ka marham tou nhi bann sakta,

Dard kuchh hotay hain ta-umar rulaaney vaaley,

Thursday, January 17, 2008

Zindagi Ka Fasana - Sad Poetry

khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa,
Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa,
Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein,
Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa,
Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,
Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa,
Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai,
Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa,
Khud apney hee haath say uss ko kaat diya,
Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa,

Wednesday, January 9, 2008

Teri Yaad Aati Hai

Kaun kehtaa hai tujhe mainay bhulaa rakhaa hai,
Terii yaadon ko kaleje say lagaa rakhaa hai,

Lab pay aahein bhii nahiin aankh mein aansuu bhii nahiin,
Dil nay har raaz mohabbat kaa chhupaa rakhaa hai,

Tuuney jo dil kay andhere mein jalaayaa thaa kabhii,
Vo diyaa aaj bhii siinay mein jalaa rakhaa hai,

Dekh jaa aakay mehaktay huye zakhmon kii bahaar,
Mainay ab tak tere gulashan ko sajaa rakhaa hai,

Tuesday, January 8, 2008

Aisa Kyun Hota Hai - Dard Bhari Ghazal




Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyu Hota Hai

Chalte Chalte Kadam Ruk Jate Hai
Jaise Koyee Awaaz De Raha Hota Hai

Chehra To Nazar Nahin Ata Hai

Lekin Kisi Ka Ehsas Wahan Hota Hai


Apnoo Ki Mehfil Me Begana sa Lagta Hun
Sub Ke Hote Hue Dil Na Jane

Kisi Ko Doondh Raha Hota Hai

Koyee To Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Koi To
Bataye Aisa Kyu Hota Hai

Kya Samjoon Is Dewane Pan Ko Main
Jo Her Lamha Mujhko Pagal Ker Raha Hota Hai

Koyee To
Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Koi To
Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Aisa Kyun Hota Hai


Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To
Bataye Aisa Kyun Hota Hai