Google
 

Monday, February 25, 2008

Khamoshi Bol Uthe - Romantic Urdu Gazal


Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye
Ye sannata agar had se badhe to kohraam ho jaye

Sitare mashalen le kar mujhe bhi dhoondne niklain
Mein rasta bhool jaoon to junglon mein shaam ho jaye

Men wo adam-e-guzeda' n hoon jo tanhai k sehra men
Khud apni chaap sun kar larza bar-andaam ho jaye

Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh mandon ki
Na ho daaman mein zar'ra aur sehra naam ho jaye

Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat kaafi hai
Hum is se bach ke chalte hen jo rasta aam ho jaye

Friday, February 22, 2008

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey - Sad Urdu Gazal


Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey
Pathar Ho Muqabil To Thehar Kyun Nahin Jatey

Is Shehar Ke Jugnoon Bhi Chalavay Hain Nazar Ke
Phir Log Sar-E-Shaam Hi Ghar Kyun Nahin Jatey

Tum Nay To Giraya Hai Mujhay Apni Nazar Say
Tum Meri Nighaon Say Utar Kyun Nahin Jatey

Mar Mar Ke Jiye Jatey Hain Sadkon Ke Kinarey
Marna Hi Zaroori Hai To Mar Kyun Nahin Jatey

Mohsin Ko Hi Maatoob Kia Jata Hai Aksar
Ilzaam Kabhi Us Ke Bhi Sar Kyun Nahin Jata

Tuesday, February 19, 2008

Pal Main Doori Ho Jaati Hai - Dard Bhari Shayari

Pal Main Doori Ho Jaati Hai
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai
Aankhon Main Neend Aati Nahin
Raat Puri Ho Jaati Hai
Pehlay Tu Hoti Hai Chahat
Phir Majboori Ho Jaati Hai
Tanhai Jab Bool Paray Tu
Baat Zaroori Ho Jaati Hai
Kuch Logon Ki Lahma Bhar Main
Khaahish Puri Ho Jaati Hai
Had Say Pyaar Ghuzar Jaye Tu
Aksar Doori Ho Jaati Hai

Monday, February 11, 2008

Shabnami Aag Mein Na,Jalao Mujhako - Romantic Poem


Shabnami aag mein na, jalao mujhako
Preet ke raag aub to, sunao mujhako;
Imtihan mein kitane, aur waqt gujarenge
Apani yadon se na, aur rijhao mujhako.

Khoobsurat sa lagata hai, charon taraf
Tamannaon se lipat, mahakao mujhako;
Aapaki kashish mein, saans hai bahaki
Rajaamandi dekar, bachao mujhako.

Surkh lub per, mere naam ko basa ker
Narmiyon ki lajjat se, nahalao mujhako;
Sandeshe net se dekar, mujhe abaad karo
Apani ankhon ki namin, de jao mujhako.

Mard bhi kaya hai, khud hi dard hai ek
Nari ki najakat se, shakti de jao mujhako;
Prakriti ki sari khubiyan, hain tum mein
Pyar karati ho muhje bole, jilao mujhako.