Kuchch kadam mere, humraah bunker chaliye
Jindagi hai apani, na majdhar bunker chaliye;
Hausale hon to, sapane bhi hain nikhar jate
Raah hai apani, ek rajdaar bunker chaliye.
Dil ke kunwe mein, lal-lal pani hai dikhata
Apane rangon ko, lalima mein na chchupa chaliye;
Hosh, madhosh hoker, kuchch aapse hai kahata
Apani hi baton ko na, khud se bhula ker chaliye.
Talashane se kabhi, khud ko nahin dhoondh pata insaan
Khojbeen chchod, jindagi ke saath chaliye;
Kaun milata hai, kaun chchootata hai, na gaur karein
Dard sahana hai to, masti ke saath chaliye.
Umar ret ki tarah, sarak rahi hai herdum
Samay ke rang-dhang, mridang sang chaliye;
Umang ka sambandh ho, chahatein prasang ho
Raag-anuraag ho to, sang mere chaliye.
Kuchch kadam mere, humraah bunker chaliye
Jindagi hai apani, na majdhar bunker chaliye.
7 comments:
Mere husn e bayaaN me shamil thaa
Woh meri daastaaN me shamil thaa
Meri basti ko lootne waalaa
Wafd e rahat rasaaN me shamil thaa
Us ki khaatir jahaan haar gaye
Kya maza us zayaaN me shamil thaa
Justajoo maaNd parti jati thi
Dil ajab kaarwaaN me shamil thaa
Gumrahi ka wo bad numa lamhaa
Meri tatheer e jaaN me shamil thaa
(Ghalib Ayaz)
Ameeron ki jabin saayi na karte
Anaa ki aisi ruswaayi na karte
Viraasat ki tarah rishte ki daulat
kabhi taqseem ae bhai na karte
Hamaare paas surat hi kahan thi
Jo apne saamne aayina karte
Bahut mahfuz dil rahta agar hum
Hasinon se shanaasaayi na karte
Ye jaan ankhon ke raste bah nikalti
Agar hum khamaafarsaayi na karte
Ghalib Ayaz
Baarisehn pattharon ki paiham hain
Ab ye lagne lagaa bure hum hain
Bad dili jab se raah kaat gayi
Hauslon ke chiraagh maddham hain
Ab khushi kiyon na raqs farmaye !
Hum jo mahsur halqa e gham hain !
Shauq e parwaaz oob jaata hai
Wus’aten kaayanaat ki kam hain
Haasil e aashiqui - bichhar jaana
Aisi rasmon se hum to barham hain
Phone per qahqahe bhi hain lekin
Uske alfaaz kis qadar nam hain !
(Ghalib Ayaz)
Usi ka jaanfezaa paighaam aaya
Musibat me khuda hi kaam aaya
Zara pasti men qismat aazmaalun
Bulandi se to main naakaam aaya
Bahut unchi uranen bharne walaa
Parindaa aaj zer e daam aayaa
Shaheed e ishq me ye dekhnaa to
Hamaare baa’d kiska naam aayaa
Junun pahle se thaa teri gali men
Kherad ko bhi wahin aaraam aayaa
Hamaari baat banne jaa rahi thi !
Tabhi basti men ek gulfaam aayaaa
(Ghalib Ayaz)
Hont ke shigaaf bhar diye gaye
Lafz paayamaal kar diye gaye!!
Uraan ki sazaa koi ghalat na thi
Khahishon ke par katar diye gaye
Fitratan hi zindagi udaas thi!!!
Warna kitne naghmagar diye gaye
Jaan ki amaan de rahe the woh
Hum harees, nazr e sar diye gaye
Titliyaan udaad hain chaman ko jab
Be hunar bahaar gar diye gaye!!
Zindagi ne dukh hi dukh diye magar!!
Hum “bakhair hain” khabar diye gaye
(Ghalib Ayaz)
Zindagi ki Ulzano mein Ulajhta raha, bas uske pyar ke liye hurdum tarasta raha,
jaanta tha woh shayad hi kabhi mujhe haasil hogi,
phir bhi jhute dilase se dil bahalata raha.
Shayad, Khuda ko ye bhi nahi manzor tha ke aakho mien kaid karoon uske aks ko
isliye to har lamha paani ki tarah meri aanko se behta raha...
Post a Comment